samlangikta aur samaj
samaj me akesar nayi pidi kuchh badlaw chahti hai ,aur badlaw hona bhi chahiye lekin is badlaw me ek chij ka khayal rakhna behad jaruri hai ki kya har chij me badlaw sambhaw hai ,ya amuk badlaw se samaj ka tana bana apne mul rup me barqarar rah sakta hai . do chije is samay samaj me her kisi ka mansik santulan vichlit kar rahi hai . 1 live in relationship 2 samlangikta ye dono hi mudde apne aap me ek aisa rup liye hue hai ki qaynat banane wale malik k niymo ko tak per rakh kar uske jagah apni mansikta ke adhar per samaj me ek naya dhacha taiyar karna chahte hai . samlangikta jo qudarat k najriye se dekha jaye to ek tarah ki bimari hai ,aur iski taraf akarsit hone walo ki tadat bhi bahut kam hai ager ek lakh me ek manusya is bimari se grasit hai to uske kritya ko jayaj thahra ker dusre logo ko protsahit karna ya kanoon banaker jayaj karar dena baki ke 99999 logo ki andekhi kiya jana sahi hai ? akhir HRC kaun se samaj ki rachna karna chahta hai . ...